Bhatka Hua Ek Parinda
Laghu kahaniyon ka yah sangrah samaaj ke badalte drishya saamne laata hai. Parampara aur dakiyanusi ke beech chalte sangharsh mein kiska palada bhaari hoga? Aham sawal uthaate yah qisse rozmarra ki zindagi ko samajhne ke vibhinn pehlu par prakash daalte hain.
Dahej pratha ke kaaran na jaane kitne parivaar barbaad ho gaye iss desh mein, kayi nayi dulhanon ko iss laalach mein jala diya gaya aur log issi wajah se ghar mein paida huyi beti ko ek bojh samjhte hain. Shayad jab tak aag hamare ghar tak na pohonche, humein jalti huyi uss beti ki vyatha se koi lagaav nahin mehsoos hota. Purush-pradhan samaaj mein badlaav laane ke liye, auraton ki awaaz sun paane ke liye, ye kahaniyaan uksaati hain.
Berozgari aur naukri ki hor mein thokar khaate naujawanon ki durdasha bhi saamne aati hai in qisson mein. Halaat ki majboori se sangharsh karte, baar-baar prayatn karte, haarte, aur ummeed ki jeet mein shayad kayi logon ke jeevan ke behtareen saal guzar jaate hain. Apni mahatvakankshayon aur zimmedariyon ka santulan banaaye rakhne asaan nahin hai.
Bachchon ki masoom nazar kayi baar vah bhavanayein bhi bhaanp jaati hain jo hum theek se nahin samajh paate. Samaaj ke vibhinn vargon ka antar, ladka-ladki mein bhed karna, mazhab aur jaati ke naam par bair rakhna, in sab maslon ko kareeb se dekhti hain yah kahaniyaan.
Dilchasp qisson ke beech rajniti, arajakta aur karuna ke vibhinn ehsaas hain. Samaaj ka darpan hai jo hamare bheetar ki duniya ko bhi halke se chhoo jaata hai, saath mein kayi sawal chhod jaata hai.
©2019 Jayendra Kumar Verma (P)2020 Audible, Inc.
Reviews
There are no reviews yet.